KHwab jannat ke hain be-mahal dosto
ḳhvāb jannat ke haiñ be-mahal dosto
kuchh bhī hotā nahīñ be-amal dosto
merā da.avā nahīñ be-amal dosto
dekhnā yaad ā.ūñgā kal dosto
ham mizāj-e-ġhazal se haiñ ḳhuub āshnā
ham se qaa.em hai husn-e-ġhazal dosto
rañj ke ba.ad rāhat bhī hai lāzmī
aaj guzrā to aa.egī kal dosto
laakh chāho magar mas.ala ziist kā
be-amal ho sakegā na hal dosto
aaj dhūmeñ machā liiñ sar-e-mai-kada
kaun jaane kahāñ hoñge kal dosto
apne apne taḳhayyul kī parvāz hai
apnā apnā hai rang-e-ġhazal dosto
kyā kahe hāl-e-dil 'āsī'-e-ḳhasta-jāñ
chain dil ko nahīñ ek pal dosto
KHwab jannat ke hain be-mahal dosto
kuchh bhi hota nahin be-amal dosto
mera dawa nahin be-amal dosto
dekhna yaad aaunga kal dosto
hum mizaj-e-ghazal se hain KHub aashna
hum se qaem hai husn-e-ghazal dosto
ranj ke baad rahat bhi hai lazmi
aaj guzra to aaegi kal dosto
lakh chaho magar masala zist ka
be-amal ho sakega na hal dosto
aaj dhumen macha lin sar-e-mai-kada
kaun jaane kahan honge kal dosto
apne apne taKHayyul ki parwaz hai
apna apna hai rang-e-ghazal dosto
kya kahe haal-e-dil 'asi'-e-KHasta-jaan
chain dil ko nahin ek pal dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.