KHwab jo bhi buna wo buna rah gaya
ḳhvāb jo bhī bunā vo bunā rah gayā
umr biitī magar bachpanā rah gayā
aks jitne the saare badalte rahe
aa.ina to vahī aa.ina rah gayā
dekh kar bādaloñ kā umaḌtā hujūm
lab pe sūraj ke kuchh gungunā rah gayā
tū milā to mujhe ye achānak lagā
kaise ab tak maiñ tere binā rah gayā
hāshiye par paḌe ham bhalā kyā kaheñ
jab bhī jo bhī kahā an-sunā rah gayā
KHwab jo bhi buna wo buna rah gaya
umr biti magar bachpana rah gaya
aks jitne the sare badalte rahe
aaina to wahi aaina rah gaya
dekh kar baadalon ka umaDta hujum
lab pe suraj ke kuchh gunguna rah gaya
tu mila to mujhe ye achanak laga
kaise ab tak main tere bina rah gaya
hashiye par paDe hum bhala kya kahen
jab bhi jo bhi kaha an-suna rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.