KHwab jo dekhe hain maine unhen paikar dega
ḳhvāb jo dekhe haiñ maiñ ne unheñ paikar degā
merā sahrā mujhe ik roz samundar degā
ek qatra jo laraztā hai mirī palkoñ par
zard mausam ko yahī qatra harā kar degā
mujh ko kuchh aur fazāoñ meñ bikhar jaane do
merā ehsās ḳhalāoñ meñ mujhe ghar degā
huuñ gunahgār magar itnā gunahgār nahīñ
mujh ko degā bhī to vo phuul sā patthar degā
sochtā huuñ to thakan aur bhī baḌh jaatī hai
phir mujhe izn-e-safar harf-e-mukarrar degā
isī aalam meñ mire ḳhvāboñ kī duniyā bhī hai
merī duniyā ko bhī vaqt ek payambar degā
mere hamrāz mire dost mire saath na chal
lamha lamha tujhe āvāz kī Thokar degā
KHwab jo dekhe hain main ne unhen paikar dega
mera sahra mujhe ek roz samundar dega
ek qatra jo larazta hai meri palkon par
zard mausam ko yahi qatra hara kar dega
mujh ko kuchh aur fazaon mein bikhar jaane do
mera ehsas KHalaon mein mujhe ghar dega
hun gunahgar magar itna gunahgar nahin
mujh ko dega bhi to wo phul sa patthar dega
sochta hun to thakan aur bhi baDh jati hai
phir mujhe izn-e-safar harf-e-mukarrar dega
isi aalam mein mere KHwabon ki duniya bhi hai
meri duniya ko bhi waqt ek payambar dega
mere hamraaz mere dost mere sath na chal
lamha lamha tujhe aawaz ki Thokar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.