KHwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe
ḳhvāb kā izn thā ta.abīr-e-ijāzat thī mujhe
vo samay aisā thā marne meñ suhulat thī mujhe
ek be-barg shajar dhund meñ lipTā huā thā
shāḳh par baiThī duāoñ kī zarūrat thī mujhe
raat masjid meñ añdherā to bahut thā lekin
yaad bhūlī sī koī rāh-e-ibādat thī mujhe
ai mirī jaañ vahī 'ġhālib' kī sī hālat thī mirī
tere jaane kī ghaḌī thī ki qayāmat thī mujhe
dāstāñ-go ne dikhā dī thī mujhe shahzādī
aur phir ḳhvāb meñ chalne kī bhī aadat thī mujhe
KHwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe
wo samay aisa tha marne mein suhulat thi mujhe
ek be-barg shajar dhund mein lipTa hua tha
shaKH par baiThi duaon ki zarurat thi mujhe
raat masjid mein andhera to bahut tha lekin
yaad bhuli si koi rah-e-ibaadat thi mujhe
ai meri jaan wahi 'ghaalib' ki si haalat thi meri
tere jaane ki ghaDi thi ki qayamat thi mujhe
dastan-go ne dikha di thi mujhe shahzadi
aur phir KHwab mein chalne ki bhi aadat thi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.