KHwab ke pas hain tabir se wabasta hain
ḳhvāb ke paas haiñ ta.abīr se vābasta haiñ
phir bhī ye faisle taqdīr se vābasta haiñ
itnā dekhā hai use ham ne ki ab lagtā hai
saare chehre usī tasvīr se vābasta haiñ
ham ko ma.alūm hai milne se rahe un ke javāb
jo savāl aap kī tahrīr se vābasta haiñ
umr-bhar ham ko ise pahn ke chalnā hogā
ham ki is dard kī zanjīr se vābasta haiñ
us ko har vaqt dikhānī hai navābī apnī
aur ham mīr-taqī-'mīr' se vābasta haiñ
ye ajab daur hai is daur meñ dikhtī hī nahīñ
aisī buniyādeñ jo ta.amīr se vābasta haiñ
jo sadā phuul khilātā chale sab rastoñ meñ
ham bhī ik aise hī rah-gīr se vābasta haiñ
KHwab ke pas hain tabir se wabasta hain
phir bhi ye faisle taqdir se wabasta hain
itna dekha hai use hum ne ki ab lagta hai
sare chehre usi taswir se wabasta hain
hum ko malum hai milne se rahe un ke jawab
jo sawal aap ki tahrir se wabasta hain
umr-bhar hum ko ise pahn ke chalna hoga
hum ki is dard ki zanjir se wabasta hain
us ko har waqt dikhani hai nawabi apni
aur hum mir-taqi-'mir' se wabasta hain
ye ajab daur hai is daur mein dikhti hi nahin
aisi buniyaaden jo tamir se wabasta hain
jo sada phul khilata chale sab raston mein
hum bhi ek aise hi rah-gir se wabasta hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.