KHwab ke sath hi bekar kiya hai KHud ko
ḳhvāb ke saath hī bekār kiyā hai ḳhud ko
jis tarah aañkh ne bedār kiyā hai ḳhud ko
kitnī hī martaba samjhautā kiyā hai ḳhud se
kitnī hī martaba hamvār kiyā hai ḳhud ko
us ko ab saañp samajhte haiñ parinde saare
jis qadar shāḳh ne ḳhamdār kiyā hai ḳhud ko
ik ta'alluq ki bahar-taur nibhāne ke liye
dil ne dariyā nahīñ patvār kiyā hai ḳhud ko
yuuñ bhare us ne nishāñ apne adhūre-pan ke
apne hī hāthoñ se mismār kiyā hai ḳhud ko
KHwab ke sath hi bekar kiya hai KHud ko
jis tarah aankh ne bedar kiya hai KHud ko
kitni hi martaba samjhauta kiya hai KHud se
kitni hi martaba hamwar kiya hai KHud ko
us ko ab sanp samajhte hain parinde sare
jis qadar shaKH ne KHamdar kiya hai KHud ko
ek ta'alluq ki bahar-taur nibhane ke liye
dil ne dariya nahin patwar kiya hai KHud ko
yun bhare us ne nishan apne adhure-pan ke
apne hi hathon se mismar kiya hai KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.