Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ki kokh mein palte hue ro paDte hain

Yasir Guman

KHwab ki kokh mein palte hue ro paDte hain

Yasir Guman

MORE BYYasir Guman

    ḳhvāb kokh meñ palte hue ro paḌte haiñ

    niiñd meñ pahlū badalte hue ro paḌte haiñ

    mujh se chhup kar mere kāñdhoñ ke farishte aksar

    ghar ke āñgan meñ Tahalte hue ro paḌte haiñ

    ai parī-zād tirī yaad meñ baiThe ham log

    haath ko haath se malte hue ro paḌte haiñ

    roz ik yaad hameñ zaḳhm diyā kartī hai

    roz ik yaad meñ jalte hue ro paḌte haiñ

    sub.h god ke paale hue manzar aksar

    hijr raat meñ Dhalte hue ro paḌte haiñ

    dekh kar shahr galiyoñ ke manāzir ḳhūnīñ

    shahr-e-āshob meñ chalte hue ro paḌte haiñ

    itne mānūs haiñ ham kūcha-e-jānāñ se 'gumān'

    ham tire ghar se nikalte hue ro paḌte haiñ

    KHwab ki kokh mein palte hue ro paDte hain

    nind mein pahlu badalte hue ro paDte hain

    mujh se chhup kar mere kandhon ke farishte aksar

    ghar ke aangan mein Tahalte hue ro paDte hain

    ai pari-zad teri yaad mein baiThe hum log

    hath ko hath se malte hue ro paDte hain

    roz ek yaad hamein zaKHm diya karti hai

    roz ek yaad mein jalte hue ro paDte hain

    subh ki god ke pale hue manzar aksar

    hijr ki raat mein Dhalte hue ro paDte hain

    dekh kar shahr ki galiyon ke manazir KHunin

    shahr-e-ashob mein chalte hue ro paDte hain

    itne manus hain hum kucha-e-jaanan se 'guman'

    hum tere ghar se nikalte hue ro paDte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now