KHwab ki tabir ka qissa nirala ban gaya
KHwab ki tabir ka qissa nirala ban gaya
Rozina Taranekar Dighe
MORE BYRozina Taranekar Dighe
ḳhvāb kī ta.abīr kā qissa nirālā ban gayā
ḳhud-farebī zindagī kā ab salīqa ban gayā
daf.atan ik muskurāhaT tere lab pe aa.ī hai
chāhatoñ kā merī ab ye ik Thikāna ban gayā
chhū ga.ī naġhmoñ ko terī ye mohabbat haule se
dekh andāz-e-bayāñ ye shā.irāna ban gayā
bādaloñ sā aks terā dil pe Thahrā der tak
bhiig kar yādoñ kī bārish meñ sharāra ban gayā
jaam armānoñ ke chhalke āñkhoñ ke paimāne se
bahte ashkoñ se mirā gahrā ye naata ban gayā
qaid hai biite vo lamhe yādoñ ke andāz meñ
roz un se tazkira ġham kā sahārā ban gayā
KHwab ki tabir ka qissa nirala ban gaya
KHud-farebi zindagi ka ab saliqa ban gaya
dafatan ek muskurahaT tere lab pe aai hai
chahaton ka meri ab ye ek Thikana ban gaya
chhu gai naghmon ko teri ye mohabbat haule se
dekh andaz-e-bayan ye shairana ban gaya
baadalon sa aks tera dil pe Thahra der tak
bhig kar yaadon ki barish mein sharara ban gaya
jam armanon ke chhalke aankhon ke paimane se
bahte ashkon se mera gahra ye nata ban gaya
qaid hai bite wo lamhe yaadon ke andaz mein
roz un se tazkira gham ka sahaara ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.