KHwab ko KHwab ki tabir se pahchana hai
ḳhvāb ko ḳhvāb kī tā'bīr se pahchānā hai
yā'nī ḳhud ko tirī tasvīr se pahchānā hai
kabhī paañv se jo pahchān liye jaate the
ab unheñ paañv kī zanjīroñ se pahchānā hai
‘ishq-e-tāza kā ye mazmūñ koī mazmūñ hai jise
apnī miTtī huī tahrīr se pahchānā hai
vāpsī par maiñ akelā thā so ḳhush thā ki mujhe
dar-o-dīvār ne tāḳhīr se pahchānā hai
hamīñ logoñ ne ki jo sub.h se chup baiThe the
harf ko nāla-e-shabgīr se pahchānā hai
ḳhaak par ḳhaak uḌaa.ī hai mohabbat kī hai
shahr ko shahr kī tā'mīr se pahchānā hai
KHwab ko KHwab ki ta'bir se pahchana hai
ya'ni KHud ko teri taswir se pahchana hai
kabhi panw se jo pahchan liye jate the
ab unhen panw ki zanjiron se pahchana hai
‘ishq-e-taza ka ye mazmun koi mazmun hai jise
apni miTti hui tahrir se pahchana hai
wapsi par main akela tha so KHush tha ki mujhe
dar-o-diwar ne taKHir se pahchana hai
hamin logon ne ki jo subh se chup baiThe the
harf ko nala-e-shabgir se pahchana hai
KHak par KHak uDai hai mohabbat ki hai
shahr ko shahr ki ta'mir se pahchana hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 88)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.