KHwab koi kya dekhe is be-KHwabi mein
ḳhvāb koī kyā dekhe is be-ḳhvābī meñ
chain nahīñ mil paatā hai betābi meñ
kuchh to 'ālam-e-imkāñ meñ aisā hogā
hairat hī hairat hai jis kī yaabī meñ
yāroñ kī to sartābī tak hai mashkūk
merā apnā lahja hai sartābī meñ
duniyā ne kyā jaane us meñ kyā dekhā
maiñ ne apnī jhalak dekhī fārābī meñ
registān-e-'arab meñ 'ajam ke shajaristāñ
phuul hai ātish-zer-e-pā sairābī meñ
ḳhanjar se kuchh likhtā rahtā huuñ tan par
yā ik baab izāfa hai ḳhūñ-nābī meñ
KHwab koi kya dekhe is be-KHwabi mein
chain nahin mil pata hai betabi mein
kuchh to 'alam-e-imkan mein aisa hoga
hairat hi hairat hai jis ki yabi mein
yaron ki to sartabi tak hai mashkuk
mera apna lahja hai sartabi mein
duniya ne kya jaane us mein kya dekha
main ne apni jhalak dekhi farabi mein
registan-e-'arab mein 'ajam ke shajaristan
phul hai aatish-zer-e-pa sairabi mein
KHanjar se kuchh likhta rahta hun tan par
ya ek bab izafa hai KHun-nabi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.