KHwab kya hain sharab ki jhilen
ḳhvāb kyā haiñ sharāb kī jhīleñ
niiñd aa.e to ham zarā pī leñ
ek sūraj hazār-hā kirneñ
khul ga.ī haiñ hayāt kī rīleñ
tez maġhrib kī ho ga.ī hai havā
thartharāne lagī haiñ qindīleñ
shahr kī gard hī lipaT jaa.e
koī apnā mile to ham jī leñ
fart-e-ġham se chaTaḳh ga.e alfāz
kaise nikleñgī ruuh se kīleñ
ye bhī ghar ho gayā hai nazr-e-fasād
is meñ rahtī thiiñ kuchh abābīleñ
baat apnī banegī kyā 'asrār'
zehn meñ rah ga.ī haiñ tāvīleñ
KHwab kya hain sharab ki jhilen
nind aae to hum zara pi len
ek suraj hazar-ha kirnen
khul gai hain hayat ki rilen
tez maghrib ki ho gai hai hawa
thartharane lagi hain qindilen
shahr ki gard hi lipaT jae
koi apna mile to hum ji len
fart-e-gham se chaTaKH gae alfaz
kaise niklengi ruh se kilen
ye bhi ghar ho gaya hai nazr-e-fasad
is mein rahti thin kuchh ababilen
baat apni banegi kya 'asrar'
zehn mein rah gai hain tawilen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.