KHwab likhkhun kabhi saya kabhi sahra likhkhun
ḳhvāb likhkhūñ kabhī saaya kabhī sahrā likhkhūñ
zindagī tū hī batā maiñ tujhe kyā kyā likhkhūñ
koī chehra to yahāñ phuul ke jaisā dekhūñ
koī lamha to kisī vaqt mahaktā likhkhūñ
dil ye kahtā hai kahīñ baiTh ke tanhā.ī meñ
vo kahe mujh se to maiñ us kā sarāpā likhkhūñ
tere qāmat ke tasavvur ko karūñ kyoñ mahdūd
tujh ko ḳhushbū kabhī shabnam kabhī sho.ala likhkhūñ
mohtasib qatl-gahoñ meñ abhī taaza hai lahū
kaise maiñ shahr-e-sitamgar kā qasīda likhkhūñ
ek sannāTā hai ta.abīr ke ā.īnoñ meñ
ḳhvāb āvāra haiñ likhkhūñ to unheñ kyā likhkhūñ
be-amāñ shahr kī rūdād sunā.ūñ kab tak
koī to sher ġhazal kā maiñ achhūtā likhkhūñ
pā-ba-zanjīr tujhe raqs meñ dekhā maiñ ne
kyoñ na ab shahr-e-ġhazālāñ kā qasīda likhkhūñ
koī to aa.e nazar ḳhūn-e-jigar kā lamha
ek misrā to kabhī 'mīr' ke jaisā likhkhūñ
KHwab likhkhun kabhi saya kabhi sahra likhkhun
zindagi tu hi bata main tujhe kya kya likhkhun
koi chehra to yahan phul ke jaisa dekhun
koi lamha to kisi waqt mahakta likhkhun
dil ye kahta hai kahin baiTh ke tanhai mein
wo kahe mujh se to main us ka sarapa likhkhun
tere qamat ke tasawwur ko karun kyon mahdud
tujh ko KHushbu kabhi shabnam kabhi shoala likhkhun
mohtasib qatl-gahon mein abhi taza hai lahu
kaise main shahr-e-sitamgar ka qasida likhkhun
ek sannaTa hai tabir ke aainon mein
KHwab aawara hain likhkhun to unhen kya likhkhun
be-aman shahr ki rudad sunaun kab tak
koi to sher ghazal ka main achhuta likhkhun
pa-ba-zanjir tujhe raqs mein dekha main ne
kyon na ab shahr-e-ghazalan ka qasida likhkhun
koi to aae nazar KHun-e-jigar ka lamha
ek misra to kabhi 'mir' ke jaisa likhkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.