KHwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai
KHwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai
Akhtar Hoshiyarpuri
MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri
ḳhvāb-mahal meñ kaun sar-e-shām aa kar patthar mārtā hai
roz ik taaza kāñch kā bartan haath se gir kar TūTtā hai
makḌī ne darvāze pe jaale duur talak bun rakkhe haiñ
phir bhī koī guzre dinoñ kī oT se andar jhāñktā hai
shor sā uThtā rahtā hai dīvāreñ boltī rahtī haiñ
shaam abhī tak aa nahīñ paatī koī khilaune toḌtā hai
avval-e-shab kī lorī bhī kab kaam kisī ke aatī hai
dil vo bachcha apnī sadā par kachchī niind se jāgtā hai
andar bāhar kī āvāzeñ ik nuqte par simTī haiñ
hotā hai galiyoñ meñ vāvailā merā lahū jab boltā hai
merī sāñsoñ kī larzish manzar kā hissa bantī hai
dekhtā huuñ maiñ khiḌkī se jab shāḳh pe pattā kāñptā hai
mere sirhāne koī baiThā Dhāras detā rahtā hai
nabz pe haath bhī rakhtā hai TuuTe dhāge bhī joḌtā hai
bādal uTThe yā ki na uTThe bārish bhī ho yā ki na ho
maiñ jab bhīgne lagtā huuñ vo sar par chhatrī tāntā hai
vaqt guzarne ke ham-rāh bahut kuchh sīkhā 'aḳhtar' ne
nañge badan ko kirnoñ ke pairāhan se ab Dhāñptā hai
KHwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai
roz ek taza kanch ka bartan hath se gir kar TuTta hai
makDi ne darwaze pe jale dur talak bun rakkhe hain
phir bhi koi guzre dinon ki oT se andar jhankta hai
shor sa uThta rahta hai diwaren bolti rahti hain
sham abhi tak aa nahin pati koi khilaune toDta hai
awwal-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai
dil wo bachcha apni sada par kachchi nind se jagta hai
andar bahar ki aawazen ek nuqte par simTi hain
hota hai galiyon mein wawaila mera lahu jab bolta hai
meri sanson ki larzish manzar ka hissa banti hai
dekhta hun main khiDki se jab shaKH pe patta kanpta hai
mere sirhane koi baiTha Dhaaras deta rahta hai
nabz pe hath bhi rakhta hai TuTe dhage bhi joDta hai
baadal uTThe ya ki na uTThe barish bhi ho ya ki na ho
main jab bhigne lagta hun wo sar par chhatri tanta hai
waqt guzarne ke ham-rah bahut kuchh sikha 'aKHtar' ne
nange badan ko kirnon ke pairahan se ab Dhanpta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.