ḳhvāb meñ gar koī kamī hotī
aañkh muddat se khul chukī hotī
tum samundar meñ kis liye kuude
aag to yuuñ bhī bujh ga.ī hotī
vo to dariyā utar gayā varna
jaane bastī pe kyā banī hotī
vo sadā raat ko jo aatī thī
jāgte rahte to sunī hotī
de rahī hai mire badan ko duā.eñ
raat akelī ThiThur ga.ī hotī
an-ginat rañg the nigāhoñ meñ
koī tasvīr to banī hotī
tum yūñhī sochte rahe 'ābid'
umr yuuñ bhī guzar ga.ī hotī
KHwab mein gar koi kami hoti
aankh muddat se khul chuki hoti
tum samundar mein kis liye kude
aag to yun bhi bujh gai hoti
wo to dariya utar gaya warna
jaane basti pe kya bani hoti
wo sada raat ko jo aati thi
jagte rahte to suni hoti
de rahi hai mere badan ko duaen
raat akeli ThiThur gai hoti
an-ginat rang the nigahon mein
koi taswir to bani hoti
tum yunhi sochte rahe 'abid'
umr yun bhi guzar gai hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.