KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh
ḳhvāb meñ haath chhuḌātī huī taqdīr kā dukh
aañkh se lipTā hai ab tak usī ta.abīr kā dukh
koshisheñ kar ke bahar-hāl musavvir haarā
shoḳh rañgoñ meñ chhupā hī nahīñ tasvīr kā dukh
us kī āñkhoñ meñ namī ḳhatm nahīñ ho saktī
paḌh liyā jis ne bhī hañstī huī tahrīr kā dukh
qaid-ḳhāne meñ yahī soch ke vāpas aayā
mujh ko mālūm hai tanhā paḌī zanjīr kā dukh
mahfil-e-sher-o-suḳhan yūñhī rahe bāġh-o-bahār
nasl-dar-nasl chale mīr-taqī-'mīr' kā dukh
haath kaT jaane pe shāyad nahīñ hotā 'nādir'
jo mire dil ko hai TuuTī huī shamshīr kā dukh
KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh
aankh se lipTa hai ab tak usi tabir ka dukh
koshishen kar ke bahar-haal musawwir haara
shoKH rangon mein chhupa hi nahin taswir ka dukh
us ki aankhon mein nami KHatm nahin ho sakti
paDh liya jis ne bhi hansti hui tahrir ka dukh
qaid-KHane mein yahi soch ke wapas aaya
mujh ko malum hai tanha paDi zanjir ka dukh
mahfil-e-sher-o-suKHan yunhi rahe bagh-o-bahaar
nasl-dar-nasl chale mir-taqi-'mir' ka dukh
hath kaT jaane pe shayad nahin hota 'nadir'
jo mere dil ko hai TuTi hui shamshir ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.