KHwab mein jo kuchh dekh raha hun us ka dikhana mushkil hai
KHwab mein jo kuchh dekh raha hun us ka dikhana mushkil hai
Qamar Jameel
MORE BYQamar Jameel
ḳhvāb meñ jo kuchh dekh rahā huuñ us kā dikhānā mushkil hai
ā.īne meñ phuul khilā hai haath lagānā mushkil hai
us ke qadam se phuul khile haiñ maiñ ne sunā hai chaar taraf
vaise is vīrān-sarā meñ phuul khilānā mushkil hai
tanhā.ī meñ dil kā sahārā ek havā kā jhoñkā thā
vo bhī gayā hai sū-e-bayābāñ us kā aanā mushkil hai
shīsha-garoñ ke ghar meñ sunā hai ek parī kal aa.ī thī
vaise ḳhayāl-o-ḳhvāb haiñ pariyāñ un kā aanā mushkil hai
KHwab mein jo kuchh dekh raha hun us ka dikhana mushkil hai
aaine mein phul khila hai hath lagana mushkil hai
us ke qadam se phul khile hain main ne suna hai chaar taraf
waise is viran-sara mein phul khilana mushkil hai
tanhai mein dil ka sahaara ek hawa ka jhonka tha
wo bhi gaya hai su-e-bayaban us ka aana mushkil hai
shisha-garon ke ghar mein suna hai ek pari kal aai thi
waise KHayal-o-KHwab hain pariyan un ka aana mushkil hai
- Book : chhaar khvaab (Pg. 67)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.