KHwab mein nur barasne ka saman hota hai
ḳhvāb meñ nuur barasne kā samāñ hotā hai
aañkh khultī hai to kamre meñ dhuāñ hotā hai
dhuup aisī dar-o-dīvār pe Thahrī aa kar
ghar pe aaseb ke saa.e kā gumāñ hotā hai
ḳhvāb meñ jā ke use dekh to aa.uuñ lekin
ab vo āñkhoñ ke darīchoñ meñ kahāñ hotā hai
din ko hotī hai jo logoñ ke guzarne kī jagah
shaam ke ba.ad vahāñ merā makāñ hotā hai
ḳhauf an-jānā koī pīchhe paḌā hai aise
jis jagah jaatā huuñ kam-baḳht vahāñ hotā hai
yuuñ mire aage ubhar aatā hai vo shaḳhs 'hasan'
mere andar hī kahīñ jaise nihāñ hotā hai
KHwab mein nur barasne ka saman hota hai
aankh khulti hai to kamre mein dhuan hota hai
dhup aisi dar-o-diwar pe Thahri aa kar
ghar pe aaseb ke sae ka guman hota hai
KHwab mein ja ke use dekh to aaun lekin
ab wo aankhon ke darichon mein kahan hota hai
din ko hoti hai jo logon ke guzarne ki jagah
sham ke baad wahan mera makan hota hai
KHauf an-jaana koi pichhe paDa hai aise
jis jagah jata hun kam-baKHt wahan hota hai
yun mere aage ubhar aata hai wo shaKHs 'hasan'
mere andar hi kahin jaise nihan hota hai
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 35)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.