KHwab mein pahle to kuchh chehre nazar aane lage
ḳhvāb meñ pahle to kuchh chehre nazar aane lage
aur phir un par ka.ī parde nazar aane lage
ishq meñ ik do nahīñ saare nazar aane lage
sab tumhāre pyaar ke maare nazar aane lage
be-mazā sī ho ga.ī hai tab se merī shā.erī
jab se tere husn par pahre nazar aane lage
aap ko to ishq karne kā bahut hī shauq thā
kyā huā do din meñ hī taare nazar aane lage
jin ko apne husn par had se ziyāda thā ġhurūr
vo hamāre ishq meñ haare nazar aane lage
KHwab mein pahle to kuchh chehre nazar aane lage
aur phir un par kai parde nazar aane lage
ishq mein ek do nahin sare nazar aane lage
sab tumhaare pyar ke mare nazar aane lage
be-maza si ho gai hai tab se meri shaeri
jab se tere husn par pahre nazar aane lage
aap ko to ishq karne ka bahut hi shauq tha
kya hua do din mein hi tare nazar aane lage
jin ko apne husn par had se ziyaada tha ghurur
wo hamare ishq mein haare nazar aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.