KHwab mein tera aana-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai
ḳhvāb meñ terā ānā-jānā pahle bhī thā aaj bhī hai
tujh se ik rishta an-jānā pahle bhī thā aaj bhī hai
rañg badaltī is duniyā meñ sab kuchh badal gayā lekin
mere laboñ par terā fasāna pahle bhī thā aaj bhī hai
apne dukh-sukh kah lenā kabhī hañs lenā kabhī ro lenā
tanhā.ī se apnā yārāna pahle bhī thā aaj bhī hai
jis panchhī kī parvāzoñ meñ josh-e-junūñ bhī shāmil ho
us kī ḳhātir āb-o-dāna pahle bhī thā aaj bhī hai
rāh-e-vafā meñ phuul nahīñ haiñ ḳhaar bahut haiñ 'hastī' jī
pyaar kā dushman saarā zamāna pahle bhī thā aaj bhī hai
KHwab mein tera aana-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai
tujh se ek rishta an-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai
rang badalti is duniya mein sab kuchh badal gaya lekin
mere labon par tera fasana pahle bhi tha aaj bhi hai
apne dukh-sukh kah lena kabhi hans lena kabhi ro lena
tanhai se apna yarana pahle bhi tha aaj bhi hai
jis panchhi ki parwazon mein josh-e-junun bhi shamil ho
us ki KHatir aab-o-dana pahle bhi tha aaj bhi hai
rah-e-wafa mein phul nahin hain KHar bahut hain 'hasti' ji
pyar ka dushman sara zamana pahle bhi tha aaj bhi hai
- Book : Kuchh Aur Tarah Se Bhi (Gazal) (Pg. 66)
- Author : Hastimal Hasti
- Publication : Vani Prakashan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.