KHwab mein yaad ke chehre aae
ḳhvāb meñ yaad ke chehre aa.e
duur se uḌ ke parinde aa.e
jis qadar ḳhvāb the ḳhushbū ban kar
parda-e-gul meñ mahakne aa.e
us ke āñgan meñ shuā.eñ utrīñ
chāñd tāroñ ke navishte aa.e
dekhnā us kī jhukī palkoñ ko
chāñd jab shāḳhoñ meñ chhupne aa.e
us kī ḳhushbūeñ jo bāhar phailīñ
duur nazdīk se rishte aa.e
KHwab mein yaad ke chehre aae
dur se uD ke parinde aae
jis qadar KHwab the KHushbu ban kar
parda-e-gul mein mahakne aae
us ke aangan mein shuaen utrin
chand taron ke nawishte aae
dekhna us ki jhuki palkon ko
chand jab shaKHon mein chhupne aae
us ki KHushbuen jo bahar phailin
dur nazdik se rishte aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.