KHwab se dil-lagi na kar lena
ḳhvāb se dil-lagī na kar lenā
niiñd se dushmanī na kar lenā
aaj se zindagī tumhārī hai
tum magar ḳhud-kushī na kar lenā
dard baḌh jaa.e to davā lenā
zaḳhm se dostī na kar lenā
vasl kī shab bhale hī kaalī ho
hijr meñ raushnī na kar lenā
zalzale bhī udaas hote haiñ
dil kī bastī ghanī na kar lenā
saath paḌhtī ho Thiik hai lekin
dost se dostī na kar lenā
KHwab se dil-lagi na kar lena
nind se dushmani na kar lena
aaj se zindagi tumhaari hai
tum magar KHud-kushi na kar lena
dard baDh jae to dawa lena
zaKHm se dosti na kar lena
wasl ki shab bhale hi kali ho
hijr mein raushni na kar lena
zalzale bhi udas hote hain
dil ki basti ghani na kar lena
sath paDhti ho Thik hai lekin
dost se dosti na kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.