KHwab sharminda-e-tabir nahin ho sakta
ḳhvāb sharminda-e-ta.abīr nahīñ ho saktā
dil mukammal kabhī tasḳhīr nahīñ ho saktā
aaj rūThe hue sājan ne bulāyā hai mujhe
aaj to kuchh bhī ināñ-gīr nahīñ ho saktā
ho na ho ye koī apnā hī khulā hai mujh par
mere dushman kā to ye tiir nahīñ ho saktā
bāñdh le dost girah meñ ye mirā farmāyā
kuchh bhī kar le tū magar 'mīr' nahīñ ho saktā
karbalā ke liye maḳhsūs hai bas ek hī shaḳhs
dūsrā koī bhī 'shabbīr' nahīñ ho saktā
KHwab sharminda-e-tabir nahin ho sakta
dil mukammal kabhi tasKHir nahin ho sakta
aaj ruThe hue sajan ne bulaya hai mujhe
aaj to kuchh bhi inan-gir nahin ho sakta
ho na ho ye koi apna hi khula hai mujh par
mere dushman ka to ye tir nahin ho sakta
bandh le dost girah mein ye mera farmaya
kuchh bhi kar le tu magar 'mir' nahin ho sakta
karbala ke liye maKHsus hai bas ek hi shaKHs
dusra koi bhi 'shabbir' nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.