KHwab tabir ke asir na the
ḳhvāb ta.abīr ke asiir na the
rahguzar the ye rāhgīr na the
rahnumā the kabhī vo sach hai magar
ye bhī sach hai ki mere piir na the
ham ne zindāñ kī bāġhbānī kī
mausam-e-gul ke ham asiir na the
patthar aa.e the ā.īne ban ke
varna ham itne be-zamīr na the
apnā andāz-e-zīst hai 'paiġhām'
ye tamāshe the nā-guzīr na the
KHwab tabir ke asir na the
rahguzar the ye rahgir na the
rahnuma the kabhi wo sach hai magar
ye bhi sach hai ki mere pir na the
hum ne zindan ki baghbani ki
mausam-e-gul ke hum asir na the
patthar aae the aaine ban ke
warna hum itne be-zamir na the
apna andaz-e-zist hai 'paigham'
ye tamashe the na-guzir na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.