KHwab tha arman tha kya kuchh teri palkon pe tha
ḳhvāb thā armān thā kyā kuchh tirī palkoñ pe thā
vo hamārā zikr jo kal tak tire hoñToñ pe thā
vo musāfir pā-ba-jaulāñ jaane kyuuñ lab-doz the
ek jaisā dard-e-afsāna sabhī chehroñ pe thā
ḳhush-nasīboñ ko pahāḌoñ se ḳhazāne mil ga.e
mujh ko vo bhī mil na paayā jo mire hoñToñ pe thā
marhabā terā hunar to bhuul bhī kaise sakī
vo zamāna jab hamārā haq tirī sāñsoñ pe thā
ḳhud-baḳhud rāz-e-mohabbat munkashif kartā rahā
vo gulābī aks jo raqsāñ tire gāloñ pe thā
KHwab tha arman tha kya kuchh teri palkon pe tha
wo hamara zikr jo kal tak tere honTon pe tha
wo musafir pa-ba-jaulan jaane kyun lab-doz the
ek jaisa dard-e-afsana sabhi chehron pe tha
KHush-nasibon ko pahaDon se KHazane mil gae
mujh ko wo bhi mil na paya jo mere honTon pe tha
marhaba tera hunar to bhul bhi kaise saki
wo zamana jab hamara haq teri sanson pe tha
KHud-baKHud raaz-e-mohabbat munkashif karta raha
wo gulabi aks jo raqsan tere galon pe tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.