KHwab to dekh chuke yar suhane kitne
ḳhvāb to dekh chuke yaar suhāne kitne
ab ye batlā ki tire ġham haiñ uThāne kitne
phuul khilne bhī na paa.e the ki chupke chupke
gasht karne lage ḳhushbū ke divāne kitne
tujh ko mālūm nahīñ ek tire dil ke sivā
tere jogī hue duniyā meñ Thikāne kitne
dhuup is jism ke sūraj kī churāne ke liye
hijr kī raat tarāshe hai bahāne kitne
sham.a shab sher shafaq shaam shabāb aur sharāb
shoḳhī-e-lab ke haiñ ai 'hosh' fasāne kitne
KHwab to dekh chuke yar suhane kitne
ab ye batla ki tere gham hain uThane kitne
phul khilne bhi na pae the ki chupke chupke
gasht karne lage KHushbu ke diwane kitne
tujh ko malum nahin ek tere dil ke siwa
tere jogi hue duniya mein Thikane kitne
dhup is jism ke suraj ki churane ke liye
hijr ki raat tarashe hai bahane kitne
shama shab sher shafaq sham shabab aur sharab
shoKHi-e-lab ke hain ai 'hosh' fasane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.