KHwab to dekh magar KHwab ki tabir na dekh
ḳhvāb to dekh magar ḳhvāb kī ta.abīr na dekh
kis tarah bantī bigaḌtī hai ye taqdīr na dekh
Dheh na jaa.e kahīñ ulfat kā tirī tāj-mahal
is kī buniyād ko dekh uuprī ta.amīr na dekh
maiñ ne jo kuchh bhī kiyā sab tirī shah pā ke kiyā
hashr ke roz faqat merī hī taqsīr na dekh
us ko paanā hai to phir toḌ de saare bandhan
raah meñ us kī kisī ko bhī anā-gīr na dekh
tujh sā zālim bhī na khā jaa.e taras dekh kahīñ
daam meñ apne taḌaptā huā naḳhchīr na dekh
khīñch abrū kī kamāñ aur chalā tiir pe tiir
kitne sīnoñ meñ haiñ paivast tire tiir na dekh
ek jhaTke kī to hai baat magar us kā ḳhayāl
mujh ko roke hai ki tū jānib-e-zanjīr na dekh
dekh 'ālam' tirā dil bhī na ulajh jaa.e kahīñ
is qadar dhyān se tū zulf-e-girah-gīr na dekh
KHwab to dekh magar KHwab ki tabir na dekh
kis tarah banti bigaDti hai ye taqdir na dekh
Dheh na jae kahin ulfat ka teri taj-mahal
is ki buniyaad ko dekh upri tamir na dekh
main ne jo kuchh bhi kiya sab teri shah pa ke kiya
hashr ke roz faqat meri hi taqsir na dekh
us ko pana hai to phir toD de sare bandhan
rah mein us ki kisi ko bhi ana-gir na dekh
tujh sa zalim bhi na kha jae taras dekh kahin
dam mein apne taDapta hua naKHchir na dekh
khinch abru ki kaman aur chala tir pe tir
kitne sinon mein hain paiwast tere tir na dekh
ek jhaTke ki to hai baat magar us ka KHayal
mujh ko roke hai ki tu jaanib-e-zanjir na dekh
dekh 'alam' tera dil bhi na ulajh jae kahin
is qadar dhyan se tu zulf-e-girah-gir na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.