KHwab TuTa sahar ke hote hi
ḳhvāb TuuTā sahar ke hote hī
rah ga.e ham yuuñ haath malte hī
ab ke sailāb bhī bahe shāyad
abr barseñge yaad karte hī
bārhā dil ko saaf kar dekhā
phir se ubhrā hai aks dhulte hī
ban gayā hai chaman vo sahrā ab
us ke bosoñ ke lams milte hī
giit ab harf sab bane motī
āñsuoñ ke ġhazal meñ Dhalte hī
KHwab TuTa sahar ke hote hi
rah gae hum yun hath malte hi
ab ke sailab bhi bahe shayad
abr barsenge yaad karte hi
barha dil ko saf kar dekha
phir se ubhra hai aks dhulte hi
ban gaya hai chaman wo sahra ab
us ke boson ke lams milte hi
git ab harf sab bane moti
aansuon ke ghazal mein Dhalte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.