KHwab TuTe sajaana mushkil hai
ḳhvāb TuuTe sajānā mushkil hai
pyaar pahlā bhulānā mushkil hai
sab ko us kī tamanna hai lekin
chāñd dhartī pe laanā mushkil hai
us kī āñkhoñ meñ haiñ ka.ī sāġhar
tair ke paar jaanā mushkil hai
ham ne patthar lahū se sīñchā hai
phuul is par khilānā mushkil hai
us ko ḳhud meñ talāsh kartā huuñ
raaz sab se chhupānā mushkil hai
dil kī hasrat nikal nahīñ paa.ī
saarī ḳhushiyoñ ko paanā mushkil hai
us ke jaane se ḳhush nahīñ 'qāsid'
dil se ab muskurānā mushkil hai
KHwab TuTe sajaana mushkil hai
pyar pahla bhulana mushkil hai
sab ko us ki tamanna hai lekin
chand dharti pe lana mushkil hai
us ki aankhon mein hain kai saghar
tair ke par jaana mushkil hai
hum ne patthar lahu se sincha hai
phul is par khilana mushkil hai
us ko KHud mein talash karta hun
raaz sab se chhupana mushkil hai
dil ki hasrat nikal nahin pai
sari KHushiyon ko pana mushkil hai
us ke jaane se KHush nahin 'qasid'
dil se ab muskurana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.