KHwab uske hain jo chura le jae
ḳhvāb us ke haiñ jo churā le jaa.e
niiñd us kī hai jo uḌā le jaa.e
zulf us kī hai jo use chhū le
baat us kī hai jo banā le jaa.e
teġh us kī hai shāḳh-e-gul us kī
jo use khīñchtā huā le jaa.e
us se kahnā ki kyā nahīñ us paas
phir bhī darvesh kī duā le jaa.e
zaḳhm ho to koī duhā.ī de
tiir ho to koī uThā le jaa.e
qarz ho to koī adā kar de
haath ho to koī chhuḌā le jaa.e
lau diye kī nigāh meñ rakhnā
jaane kis samt rāstā le jaa.e
dil meñ ābād haiñ jo sadiyoñ se
un butoñ ko kahāñ ḳhudā le jaa.e
kab na jaane ubal paḌe chashma
kab ye sahrā mujhe bahā le jaa.e
ḳhvāb aisā ki dekhte rahiye
yaad aisī ki hāfiza le jaa.e
maiñ ġharīb-ud-dayār merā kyā
mauj le jaa.e yā havā le jaa.e
ḳhaak honā hī jab muqaddar hai
ab jahāñ baḳht-e-nā-rasā le jaa.e
KHwab us ke hain jo chura le jae
nind us ki hai jo uDa le jae
zulf us ki hai jo use chhu le
baat us ki hai jo bana le jae
tegh us ki hai shaKH-e-gul us ki
jo use khinchta hua le jae
us se kahna ki kya nahin us pas
phir bhi darwesh ki dua le jae
zaKHm ho to koi duhai de
tir ho to koi uTha le jae
qarz ho to koi ada kar de
hath ho to koi chhuDa le jae
lau diye ki nigah mein rakhna
jaane kis samt rasta le jae
dil mein aabaad hain jo sadiyon se
un buton ko kahan KHuda le jae
kab na jaane ubal paDe chashma
kab ye sahra mujhe baha le jae
KHwab aisa ki dekhte rahiye
yaad aisi ki hafiza le jae
main gharib-ud-dayar mera kya
mauj le jae ya hawa le jae
KHak hona hi jab muqaddar hai
ab jahan baKHt-e-na-rasa le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.