KHwab uTha kar taq pe rakkhe maine bhi
ḳhvāb uThā kar taaq pe rakkhe maiñ ne bhī
duniyā tere naaz uThā.e maiñ ne bhī
vo bhī ummīdoñ par puurā kab utrā
toḌ diye ādarsh purāne maiñ ne bhī
ishq rivāyat ban kar mere saath chalā
tasvīroñ ke aañsū dekhe maiñ ne bhī
na.ī navelī āvāzoñ kā shor uThā
kan-akhiyoñ se manzar dekhe maiñ ne bhī
aate aate aa.ī hai duniyā-dārī
rañj usāre dard sañvāre maiñ ne bhī
KHwab uTha kar taq pe rakkhe main ne bhi
duniya tere naz uThae main ne bhi
wo bhi ummidon par pura kab utra
toD diye aadarsh purane main ne bhi
ishq riwayat ban kar mere sath chala
taswiron ke aansu dekhe main ne bhi
nai naweli aawazon ka shor uTha
kan-akhiyon se manzar dekhe main ne bhi
aate aate aai hai duniya-dari
ranj usare dard sanware main ne bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.