KHwabon ka nashsha hai na tamanna ka silsila
ḳhvāboñ kā nashsha hai na tamannā kā silsila
ab rah gayā hai bas ġham-e-duniyā kā silsila
ābād duur duur haiñ vīrāñ se kuchh maqām
ye bastiyāñ haiñ yā koī sahrā kā silsila
gardish meñ jān-o-dil hoñ to kyūñkar mile sukūñ
yaaro nahīñ ye sāġhar-o-mīnā kā silsila
do hī qadam chale the kisī kī talāsh meñ
phir mil sakā na naqsh-e-kaf-e-pā kā silsila
insāñ ko silsiloñ se milegī najāt kyā
duniyā ke ba.ad hai abhī uqbā kā silsila
apne vajūd se bhī gile par huā tamām
itnā baḌhā shikāyat-e-bejā kā silsila
ik shahr-e-tishna-kām meñ jiite haiñ yuuñ 'sahar'
aatā hai roz ḳhvāb meñ dariyā kā silsila
KHwabon ka nashsha hai na tamanna ka silsila
ab rah gaya hai bas gham-e-duniya ka silsila
aabaad dur dur hain viran se kuchh maqam
ye bastiyan hain ya koi sahra ka silsila
gardish mein jaan-o-dil hon to kyunkar mile sukun
yaro nahin ye saghar-o-mina ka silsila
do hi qadam chale the kisi ki talash mein
phir mil saka na naqsh-e-kaf-e-pa ka silsila
insan ko silsilon se milegi najat kya
duniya ke baad hai abhi uqba ka silsila
apne wajud se bhi gile par hua tamam
itna baDha shikayat-e-beja ka silsila
ek shahr-e-tishna-kaam mein jite hain yun 'sahar'
aata hai roz KHwab mein dariya ka silsila
- Book : Barg-e-Sahar (Pg. 93)
- Author : Abu Mohammad Sahar
- Publication : Maktaba-e-Adab (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.