KHwabon ka sailab nahin dekha jata
ḳhvāboñ kā sailāb nahīñ dekhā jaatā
nīñd-nagar ġharqāb nahīñ dekhā jaatā
jaane vaale merī āñkheñ bhī le jā
in ko yuuñ betāb nahīñ dekhā jaatā
itnā kah kar ek shanāvar Duub gayā
afsurda girdāb nahīñ dekhā jaatā
jaane us kā chehra kaise dekheñge
jis kā nūr-naqāb nahīñ dekhā jaatā
ham ne saara gulshan jalte dekhā hai
tum se ek gulāb nahīñ dekhā jaatā
KHwabon ka sailab nahin dekha jata
nind-nagar gharqab nahin dekha jata
jaane wale meri aankhen bhi le ja
in ko yun betab nahin dekha jata
itna kah kar ek shanawar Dub gaya
afsurda girdab nahin dekha jata
jaane us ka chehra kaise dekhenge
jis ka nur-naqab nahin dekha jata
hum ne sara gulshan jalte dekha hai
tum se ek gulab nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.