KHwabon ke aasre pe bahut din jiye ho tum
ḳhvāboñ ke aasre pe bahut din jiye ho tum
shāyad yahī sabab hai ki tanhā rahe ho tum
apne se koī baat chhupā.ī nahīñ kabhī
ye bhī fareb ḳhud ko bahut de chuke ho tum
pūchhā hai apne aap se maiñ ne hazār baar
mujh ko batāo to sahī kyā chāhte ho tum
ḳhālī barāmdoñ ne mujhe dekh kar kahā
kyā baat hai udaas se kuchh lag rahe ho tum
ghar ke laboñ pe aaj tak aayā na ye savāl
ho kar kahāñ se aa.e ho kyā thak ga.e ho tum
KHwabon ke aasre pe bahut din jiye ho tum
shayad yahi sabab hai ki tanha rahe ho tum
apne se koi baat chhupai nahin kabhi
ye bhi fareb KHud ko bahut de chuke ho tum
puchha hai apne aap se main ne hazar bar
mujh ko batao to sahi kya chahte ho tum
KHali baramdon ne mujhe dekh kar kaha
kya baat hai udas se kuchh lag rahe ho tum
ghar ke labon pe aaj tak aaya na ye sawal
ho kar kahan se aae ho kya thak gae ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.