KHwabon ki anjuman mein na viraniyon mein tha
KHwabon ki anjuman mein na viraniyon mein tha
Imtiyaz Ahmad Qamar
MORE BYImtiyaz Ahmad Qamar
ḳhvāboñ kī anjuman meñ na vīrāniyoñ meñ thā
dil kā surūr shauq kī nādāniyoñ meñ thā
tahzīb-e-nau shu.ūr kā ā.īna ban ga.ī
lekin vo imbisāt jo nādāniyoñ meñ thā
hoñThoñ pe pyaas chehroñ pe hirmāñ kī gard thī
kyā ehtimām be-sar-o-sāmāniyoñ meñ thā
nafrat kī aag zehn kā aaseb ban ga.ī
sho.aloñ kā raqs ab ke hudā-ḳhvāniyoñ meñ thā
chehre 'qamar' chale ga.e jismoñ se ruuTh kar
maiñ aa.ina liye hue hairāniyoñ meñ thā
KHwabon ki anjuman mein na viraniyon mein tha
dil ka surur shauq ki nadaniyon mein tha
tahzib-e-nau shuur ka aaina ban gai
lekin wo imbisat jo nadaniyon mein tha
honThon pe pyas chehron pe hirman ki gard thi
kya ehtimam be-sar-o-samaniyon mein tha
nafrat ki aag zehn ka aaseb ban gai
shoalon ka raqs ab ke huda-KHwaniyon mein tha
chehre 'qamar' chale gae jismon se ruTh kar
main aaina liye hue hairaniyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.