KHwabon ki baat aankhon se Tali nahin gai
ḳhvāboñ kī baat āñkhoñ se Taalī nahīñ ga.ī
ik shab bhī merī ḳhām-ḳhayālī nahīñ ga.ī
us kā hī saath mujh ko mayassar nahīñ huā
yuuñ to mirī duā kabhī ḳhālī nahīñ ga.ī
mujh se bichhaḌ ke vo bhī akelā rahā magar
chhoTī sī baat dil se nikālī nahīñ ga.ī
saath apne merī niiñd bhī le kar chalā gayā
jab se gayā vo aañkh kī laalī nahīñ ga.ī
us ne bhī sāf-goī se dāman chhuḌā liyā
ḳhush-fahmī apne dil se bhī paalī nahīñ ga.ī
yuuñ us kī ādatoñ meñ taġhāful shumār thā
rishtoñ kī bāg-Dor sambhālī nahīñ ga.ī
'alkā' vo jis ne phūñk diyā merā āshiyāñ
yādoñ se umr-bhar vo divālī nahīñ ga.ī
KHwabon ki baat aankhon se Tali nahin gai
ek shab bhi meri KHam-KHayali nahin gai
us ka hi sath mujh ko mayassar nahin hua
yun to meri dua kabhi KHali nahin gai
mujh se bichhaD ke wo bhi akela raha magar
chhoTi si baat dil se nikali nahin gai
sath apne meri nind bhi le kar chala gaya
jab se gaya wo aankh ki lali nahin gai
us ne bhi saf-goi se daman chhuDa liya
KHush-fahmi apne dil se bhi pali nahin gai
yun us ki aadaton mein taghaful shumar tha
rishton ki bag-Dor sambhaali nahin gai
'alka' wo jis ne phunk diya mera aashiyan
yaadon se umr-bhar wo diwali nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.