KHwabon ki chhanw mein jo tha apna aashiyana
ḳhvāboñ kī chhāñv meñ jo thā apnā āshiyāna
sūraj jalā chukā hai ḳhvāboñ kā shāmiyāna
phailāo jo thā us kā asrār āsmāñ tak
simTā kahīñ kahīñ par ban rāz-e-dā.imāna
uḌtī huī nazar ko zulmat ne aa ke bhedā
be-chūk kis qadar thā sayyād kā nishāna
in talḳh haqīqatoñ se nā-āgahī hai behtar
mad.hoshiyoñ meñ jiinā be-ḳhud-o-be-Thikāna
yuuñ talḳhiyoñ pe āḳhir ab aañkh jo khulī hai
ḳhvāboñ kī shīrnī bas jiine kā hai bahāna
be-ḳhvāb merī āñkheñ vo chiiz DhūñDhtī haiñ
jis ke tilism meñ ho ḳhvāboñ kā āshiyāna
kab tak bachā.e rakheñ dāman ko paak 'yūsuf'
sastī sharāb bahut hai sarmast hai zamāna
KHwabon ki chhanw mein jo tha apna aashiyana
suraj jala chuka hai KHwabon ka shamiyana
phailao jo tha us ka asrar aasman tak
simTa kahin kahin par ban raaz-e-daimana
uDti hui nazar ko zulmat ne aa ke bheda
be-chuk kis qadar tha sayyaad ka nishana
in talKH haqiqaton se na-agahi hai behtar
madhoshiyon mein jina be-KHud-o-be-Thikana
yun talKHiyon pe aaKHir ab aankh jo khuli hai
KHwabon ki shirni bas jine ka hai bahana
be-KHwab meri aankhen wo chiz DhunDhti hain
jis ke tilism mein ho KHwabon ka aashiyana
kab tak bachae rakhen daman ko pak 'yusuf'
sasti sharab bahut hai sarmast hai zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.