KHwabon ki dastaras mein na aankhon ki had mein hai
ḳhvāboñ kī dastaras meñ na āñkhoñ kī had meñ hai
imkān-e-vasl gard-e-masāfat kī zad meñ hai
likkhā huā thā hijr hamāre nasīb meñ
ye istinād terī tamannā ke rad meñ hai
dasht-e-ġham-e-firāq meñ bhaTke hue haiñ ham
sad-shukr terī yaad hamārī rasad meñ hai
ahl-e-junūñ haiñ razm-gah-e-haq meñ jāñ-ba-kaf
talqīn-e-dast-bastagī bazm-e-ḳhirad meñ hai
maiñ kyā huuñ maiñ to ḳhaak huuñ aur merī zindagī
ik amr-e-kun-fakāñ hai jo ḳhākī jasad meñ hai
KHwabon ki dastaras mein na aankhon ki had mein hai
imkan-e-wasl gard-e-masafat ki zad mein hai
likkha hua tha hijr hamare nasib mein
ye istinad teri tamanna ke rad mein hai
dasht-e-gham-e-firaq mein bhaTke hue hain hum
sad-shukr teri yaad hamari rasad mein hai
ahl-e-junun hain razm-gah-e-haq mein jaan-ba-kaf
talqin-e-dast-bastagi bazm-e-KHirad mein hai
main kya hun main to KHak hun aur meri zindagi
ek amr-e-kun-fakan hai jo KHaki jasad mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.