KHwabon ki haqiqat bhi bata kyun nahin dete
KHwabon ki haqiqat bhi bata kyun nahin dete
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
ḳhvāboñ kī haqīqat bhī batā kyuuñ nahīñ dete
vo ret kā ghar hai to girā kyuuñ nahīñ dete
ab arz-o-samā meñ to Thikāna nahīñ merā
tum gard ke mānind uḌā kyuuñ nahīñ dete
aalam meñ liye phirte ho tum apnī tajallī
ham jaise charāġhoñ ko ziyā kyuuñ nahīñ dete
ījād kiyā karte ho tum ġham ke khilaune
tum dil bhī koī aur nayā kyuuñ nahīñ dete
tum DhūñDte phirte ho masīhā.ī kā marham
zaḳhmoñ ko salīqe se sajā kyuuñ nahīñ dete
rone kā sabab pūchh na le mujh se zamāna
aañsū mirī āñkhoñ ke chhupā kyuuñ nahīñ dete
ye sham.a' khaTaktī hai agar ḳhaar kī sūrat
nazroñ se ise apnī girā kyuuñ nahīñ dete
KHwabon ki haqiqat bhi bata kyun nahin dete
wo ret ka ghar hai to gira kyun nahin dete
ab arz-o-sama mein to Thikana nahin mera
tum gard ke manind uDa kyun nahin dete
aalam mein liye phirte ho tum apni tajalli
hum jaise charaghon ko ziya kyun nahin dete
ijad kiya karte ho tum gham ke khilaune
tum dil bhi koi aur naya kyun nahin dete
tum DhunDte phirte ho masihai ka marham
zaKHmon ko saliqe se saja kyun nahin dete
rone ka sabab puchh na le mujh se zamana
aansu meri aankhon ke chhupa kyun nahin dete
ye shama' khaTakti hai agar KHar ki surat
nazron se ise apni gira kyun nahin dete
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 52)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.