KHwabon ki ek bhiD lagi hai jism bechaara nind mein hai
KHwabon ki ek bhiD lagi hai jism bechaara nind mein hai
Razi Akhtar Shauq
MORE BYRazi Akhtar Shauq
ḳhvāboñ kī ik bhiiḌ lagī hai jism bechārā niiñd meñ hai
aadhā chehra niiñd se bāhar aadhā chehra niiñd meñ hai
ik ijlās thā dīvānoñ kā jis kī ye rūdād banī!
sadiyoñ se bīmār hai duniyā aur masīhā niiñd meñ hai
āhan-paikar āvāzoñ par ham ne jinheñ tasḳhīr kiyā
sote sote chauñk uThte haiñ aisā dhaḌkā niiñd meñ hai
haft-aflāk ne dastak de kar pūchhā thā kis haal meñ ho
ik darvesh ne baḌh ke sadā dī ye sayyāra niiñd meñ hai
pal bhar meñ sho.ala bhaḌkegā shahr khañDar ho jā.eñge
jaltī sham.eñ haath meñ le kar rūh-e-zamāna niiñd meñ hai
jaag rahī hai rūh-e-āhan ḳhvāb meñ hai insāñ kā zamīr
bedārī kī sau lahreñ haiñ phir bhī ye duniyā niiñd meñ hai
uTThegā aur lamha-bhar meñ hashr bapā ho jā.egā
har lamha aisā lagtā hai koī fitna niiñd meñ hai
shahr-panāh kī dīvāroñ par ik duzdāna aahaT hai
aur maiñ us ko dekh rahā huuñ shahr to saarā niiñd meñ hai
KHwabon ki ek bhiD lagi hai jism bechaara nind mein hai
aadha chehra nind se bahar aadha chehra nind mein hai
ek ijlas tha diwanon ka jis ki ye rudad bani!
sadiyon se bimar hai duniya aur masiha nind mein hai
aahan-paikar aawazon par hum ne jinhen tasKHir kiya
sote sote chaunk uThte hain aisa dhaDka nind mein hai
haft-aflak ne dastak de kar puchha tha kis haal mein ho
ek darwesh ne baDh ke sada di ye sayyara nind mein hai
pal bhar mein shoala bhaDkega shahr khanDar ho jaenge
jalti shamen hath mein le kar ruh-e-zamana nind mein hai
jag rahi hai ruh-e-ahan KHwab mein hai insan ka zamir
bedari ki sau lahren hain phir bhi ye duniya nind mein hai
uTThega aur lamha-bhar mein hashr bapa ho jaega
har lamha aisa lagta hai koi fitna nind mein hai
shahr-panah ki diwaron par ek duzdana aahaT hai
aur main us ko dekh raha hun shahr to sara nind mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.