KHwabon ki tabiren bhi hon
ḳhvāboñ kī ta.abīreñ bhī hoñ
yādoñ kī tasvīreñ bhī hoñ
apne unvānoñ jaisī hī
kaash ki kuchh tahrīreñ bhī hoñ
laakh tarīqe mar jaane ke
jiine kī tadbīreñ bhī hoñ
sirf lakīroñ se kyā hogā
hāthoñ meñ taqdīreñ bhī hoñ
sirf uTheñ jo haq kī ḳhātir
kuchh aisī shamshīreñ bhī hoñ
KHwabon ki tabiren bhi hon
yaadon ki taswiren bhi hon
apne unwanon jaisi hi
kash ki kuchh tahriren bhi hon
lakh tariqe mar jaane ke
jine ki tadbiren bhi hon
sirf lakiron se kya hoga
hathon mein taqdiren bhi hon
sirf uThen jo haq ki KHatir
kuchh aisi shamshiren bhi hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.