KHwabon ko jagir banana bhul gae
ḳhvāboñ ko jāgīr banānā bhuul ga.e
is pe sitam ta.abīr banānā bhuul ga.e
pyaar ke zahr ko chakh lene ke ba.ad khulā
ham us ko iksīr banānā bhuul ga.e
chhoḌ gayā vo jis pal ham ko tab jaanā
chāhat ko zanjīr banānā bhuul ga.e
ek duā kī sūrat tum ko chāhā thā
aur is meñ tāsīr banānā bhuul ga.e
tum ko palkoñ beach chhupānā hasrat thī
tum ko palkoñ beach chhupānā bhuul ga.e
naam tumhārā haath pe likhnā yaad rahā
ham is ko taqdīr banānā bhuul ga.e
KHwabon ko jagir banana bhul gae
is pe sitam tabir banana bhul gae
pyar ke zahr ko chakh lene ke baad khula
hum us ko iksir banana bhul gae
chhoD gaya wo jis pal hum ko tab jaana
chahat ko zanjir banana bhul gae
ek dua ki surat tum ko chaha tha
aur is mein tasir banana bhul gae
tum ko palkon beach chhupana hasrat thi
tum ko palkon beach chhupana bhul gae
nam tumhaara hath pe likhna yaad raha
hum is ko taqdir banana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.