KHwabon mein chhupi hun na kisi pyar mein gum hun
KHwabon mein chhupi hun na kisi pyar mein gum hun
Amina Raushni Risha
MORE BYAmina Raushni Risha
ḳhvāboñ meñ chhupī huuñ na kisī pyaar meñ gum huuñ
aurat huuñ maiñ ajdād kī dastār meñ gum huuñ
chunvā.ī ga.ī thī kabhī chāhat kī ḳhatā meñ
aa dekh abhī tak isī dīvār meñ gum huuñ
likkhe hī na jaa.eñ kisī shā.ir se kabhī bhī
ik umr se maiñ aise hī ash.ār meñ gum huuñ
'sassī' bhī nahīñ 'hīr' ke jaisī bhī nahīñ huuñ
maiñ apnī kahānī ke hī kirdār meñ gum huuñ
jangal hai mire dil meñ tire hijr kā har-sū
muddat se 'rishā' is ke maiñ ashjār meñ gum huuñ
KHwabon mein chhupi hun na kisi pyar mein gum hun
aurat hun main ajdad ki dastar mein gum hun
chunwai gai thi kabhi chahat ki KHata mein
aa dekh abhi tak isi diwar mein gum hun
likkhe hi na jaen kisi shair se kabhi bhi
ek umr se main aise hi ashaar mein gum hun
'sassi' bhi nahin 'hir' ke jaisi bhi nahin hun
main apni kahani ke hi kirdar mein gum hun
jangal hai mere dil mein tere hijr ka har-su
muddat se 'risha' is ke main ashjar mein gum hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.