KHwahan-e-kaam-e-jaan hain tan-asaniyon mein hum
KHwahan-e-kaam-e-jaan hain tan-asaniyon mein hum
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
ḳhvāhān-e-kām-e-jāñ haiñ tan-āsāniyoñ meñ ham
tā-zindagī raheñge pareshāniyoñ meñ ham
masjid meñ sajda ḳhaak kareñ dekhte haiñ ham
sandal sanam-parastoñ kī peshāniyoñ meñ ham
dekhā kabhī na ḳhaar kī dāman-kashī kā lutf
sahrā kī sair ko ga.e uryāniyoñ meñ ham
do qism aadmī haiñ jafākār-o-bevafā
gar avvaloñ meñ vo hai to haiñ sāniyoñ meñ ham
āb-e-baqā ḳhizar ko mubārak rahe hameñ
kaafī hai jām-e-zahr ki haiñ fāniyoñ meñ ham
jang-o-jadal rahegī 'shahīdī' tamām umr
īrāniyoñ meñ yaar haiñ tūrāniyoñ meñ ham
KHwahan-e-kaam-e-jaan hain tan-asaniyon mein hum
ta-zindagi rahenge pareshaniyon mein hum
masjid mein sajda KHak karen dekhte hain hum
sandal sanam-paraston ki peshaniyon mein hum
dekha kabhi na KHar ki daman-kashi ka lutf
sahra ki sair ko gae uryaniyon mein hum
do qism aadmi hain jafakar-o-bewafa
gar awwalon mein wo hai to hain saniyon mein hum
aab-e-baqa KHizar ko mubarak rahe hamein
kafi hai jam-e-zahr ki hain faniyon mein hum
jang-o-jadal rahegi 'shahidi' tamam umr
iraniyon mein yar hain turaniyon mein hum
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 215)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.