KHwahan-e-mohabbat hun adawat nahin aati
ḳhvāhān-e-mohabbat huuñ adāvat nahīñ aatī
aatā hai mujhe shukr shikāyat nahīñ aatī
vaañ kaam to hote haiñ ḳhushāmad se barāmad
kyā fikr kareñ ham ko samājat nahīñ aatī
jab chāhte ho aag lagāte ho diloñ meñ
phir kahte ho kuchh mujh ko sharārat nahīñ aatī
kyā saḳhtī-e-tāle.a hai karūñ kis se shikāyat
kuchh tum ko rah-o-rasm-e-muravvat nahīñ aatī
KHwahan-e-mohabbat hun adawat nahin aati
aata hai mujhe shukr shikayat nahin aati
wan kaam to hote hain KHushamad se baramad
kya fikr karen hum ko samajat nahin aati
jab chahte ho aag lagate ho dilon mein
phir kahte ho kuchh mujh ko shararat nahin aati
kya saKHti-e-talea hai karun kis se shikayat
kuchh tum ko rah-o-rasm-e-murawwat nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.