KHwahish-e-aish nahin dard-e-nihani ki qasam
ḳhvāhish-e-aish nahīñ dard-e-nihānī kī qasam
bul-havas khāyā kareñ ishrat-e-fānī kī qasam
ik ġham-angez haqīqat hai hamārī hastī
qissa-ḳhvāñ terī ġham-angez kahānī kī qasam
dil kī gahrā.iyoñ meñ aag dabī rakhtā huuñ
chashm-e-giryāñ se baraste hue paanī kī qasam
jab se aa.ī hai ḳhudā rakkhe javānī 'aḳhtar'
ham har ik baat pe khāte haiñ javānī kī qasam
KHwahish-e-aish nahin dard-e-nihani ki qasam
bul-hawas khaya karen ishrat-e-fani ki qasam
ek gham-angez haqiqat hai hamari hasti
qissa-KHwan teri gham-angez kahani ki qasam
dil ki gahraiyon mein aag dabi rakhta hun
chashm-e-giryan se baraste hue pani ki qasam
jab se aai hai KHuda rakkhe jawani 'aKHtar'
hum har ek baat pe khate hain jawani ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.