KHwahish-e-did liye dahr mein aae hue hain
ḳhvāhish-e-dīd liye dahr meñ aa.e hue haiñ
dil bhī toḌe haiñ bahut but bhī banā.e hue haiñ
naam merā abu-suifyān nahīñ hai lekin
merī hinda ne bahut dil bhī chabā.e hue haiñ
aalsī chhoḌ na milne ke bahāne na banā
yaar ham log bahut duur se aa.e hue haiñ
āsmānoñ meñ sitāre bhī nahīñ haiñ itne
zaḳhm jitne mire siine meñ samā.e hue haiñ
yaanī ye dil tire hāthoñ se nahīñ TuuTā hai
yaanī ham log zamāne ke satā.e hue haiñ
KHwahish-e-did liye dahr mein aae hue hain
dil bhi toDe hain bahut but bhi banae hue hain
nam mera abu-suifyan nahin hai lekin
meri hinda ne bahut dil bhi chabae hue hain
aalsi chhoD na milne ke bahane na bana
yar hum log bahut dur se aae hue hain
aasmanon mein sitare bhi nahin hain itne
zaKHm jitne mere sine mein samae hue hain
yani ye dil tere hathon se nahin TuTa hai
yani hum log zamane ke satae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.