KHwahish-e-diwar-o-dar hai apna ghar hote hue
ḳhvāhish-e-dīvār-o-dar hai apnā ghar hote hue
be-samar haiñ apnī shāḳhoñ par samar hote hue
log saa.e aur shajar se is qadar bezār haiñ
shāḳh ko bhī kāTte haiñ shāḳh par hote hue
ik azāb-e-ḳhauf-e-be-samtī bhī in āñkhoñ meñ hai
apnī manzil aur apnī rahguzar hote hue
jā.egī āḳhir kahāñ vīrān lamhoñ kī ye gard
merā ghar hote hue yā merā sar hote hue
be-sitāra āsmāñ se raushnī kyā māñgte
ik diyā aur ek jugnū haath par hote hue
log ḳhāmoshī se apne sāmne dekhā kiye
mo'atabar bātoñ ko bhī nā-mo'tabar hote hue
KHwahish-e-diwar-o-dar hai apna ghar hote hue
be-samar hain apni shaKHon par samar hote hue
log sae aur shajar se is qadar bezar hain
shaKH ko bhi kaTte hain shaKH par hote hue
ek azab-e-KHauf-e-be-samti bhi in aankhon mein hai
apni manzil aur apni rahguzar hote hue
jaegi aaKHir kahan viran lamhon ki ye gard
mera ghar hote hue ya mera sar hote hue
be-sitara aasman se raushni kya mangte
ek diya aur ek jugnu hath par hote hue
log KHamoshi se apne samne dekha kiye
mo'atabar baaton ko bhi na-mo'tabar hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.