KHwahish-e-sham-e-farozan se pareshan na hua
KHwahish-e-sham-e-farozan se pareshan na hua
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
ḳhvāhish-e-sham'-e-farozāñ se pareshāñ na huā
dil qanā'at ke karam se tahī-dāmāñ na huā
apnī ġhairat se kisī taur gurezāñ na huā
miT gayā 'ishq magar chāk-garebāñ na huā
mausam-e-gul bhī huā ab ke ta'assub kā shikār
rashk-e-gul ho ke bhī vo faḳhr-e-gulistāñ na huā
pesh kī ham ne ka.ī ruḳh se dalīleñ lekin
'umr bhar 'aql kā haamī dil-e-nādāñ na huā
bazm-e-jānāñ se ri'āyat kī na ummīd rakheñ
marhala shauq-e-nazar kā kabhī āsāñ na huā
daaġh dhabboñ kī hai bohtāt zamāne meñ magar
daaġh us daaġh ko kahte jo numāyāñ na huā
shīsha-e-dil ko bahut ham ne sañvārā 'kausar'
zarra zarra hī rahā mehr-e-daraḳhshāñ na huā
KHwahish-e-sham'-e-farozan se pareshan na hua
dil qana'at ke karam se tahi-daman na hua
apni ghairat se kisi taur gurezan na hua
miT gaya 'ishq magar chaak-gareban na hua
mausam-e-gul bhi hua ab ke ta'assub ka shikar
rashk-e-gul ho ke bhi wo faKHr-e-gulistan na hua
pesh ki hum ne kai ruKH se dalilen lekin
'umr bhar 'aql ka hami dil-e-nadan na hua
bazm-e-jaanan se ri'ayat ki na ummid rakhen
marhala shauq-e-nazar ka kabhi aasan na hua
dagh dhabbon ki hai bohtat zamane mein magar
dagh us dagh ko kahte jo numayan na hua
shisha-e-dil ko bahut hum ne sanwara 'kausar'
zarra zarra hi raha mehr-e-daraKHshan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.