KHwahish-e-sharbat-e-didar karun ya na karun
ḳhvāhish-e-sharbat-e-dīdār karūñ yā na karūñ
maiñ ilāj-e-dil-e-bīmār karūñ yā na karūñ
un kī tasvīr se kahtā huuñ tasavvur meñ yahī
tujh ko dil duuñ ki na duuñ pyaar karūñ yā na karūñ
va.ada-e-hashr hai tahrīr javāb-e-ḳhat meñ
e.atibār is pe dil-e-zār karūñ yā na karūñ
zulf pur-pech ghaTā kaalī añdherī shab-e-ġham
dil balāoñ meñ giraftār karūñ yā na karūñ
apne paikān-e-nazar se vo pashemāñ haiñ 'riyāz'
zulm-e-be-jā kā maiñ iz.hār karūñ yā na karūñ
KHwahish-e-sharbat-e-didar karun ya na karun
main ilaj-e-dil-e-bimar karun ya na karun
un ki taswir se kahta hun tasawwur mein yahi
tujh ko dil dun ki na dun pyar karun ya na karun
wada-e-hashr hai tahrir jawab-e-KHat mein
eatibar is pe dil-e-zar karun ya na karun
zulf pur-pech ghaTa kali andheri shab-e-gham
dil balaon mein giraftar karun ya na karun
apne paikan-e-nazar se wo pasheman hain 'riyaz'
zulm-e-be-ja ka main izhaar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.