ḳhvāhish-e-sharbat-e-dīdār karūñ yā na na karūñ
maiñ ilāj-e-dil-e-bīmār karūñ yā na karūñ
talab-e-vasl pe isrār karūñ yā na karūñ
bose le kar use bezār karūñ yā na karūñ
naale shab ko pas-e-dīvār karūñ yā na karūñ
ḳhvāb se yaar ko bedār karūñ yā na karūñ
mujh se kahte haiñ batāo to mire sar kī qasam
murġh-e-dil ko maiñ giraftār karūñ yā na karūñ
yā ilāhī mujhe is meñ hai taraddud kal se
dil ye maiñ pesh-kash-e-yār karūñ yā na karūñ
chhīn kar dil mire pahlū se na le jaa.e kahīñ
tark maiñ ulfat-e-dildār karūñ yā na karūñ
yā-ilāhī kahīñ asrār na hoveñ is meñ
tā.ir-e-dil maiñ giraftār karūñ yā na karūñ
saḳht mushkil mujhe darpesh huī hai kal se
aaj ishq-e-but-e-pindār karūñ yā na karūñ
nīche talvār ke sābit-qadamī mushkil hai
sar ke dene kā maiñ iqrār karūñ yā na karūñ
ḳhauf mujh ko hai ki nāzuk hai tabī.at un kī
bose lene pe maiñ isrār karūñ yā na karūñ
paar dil kī na kahīñ tīr-e-nazar ho jaa.e
āñkheñ us shoḳh se maiñ chaar karūñ yā na karūñ
ātish-e-hijr se dil merā jalāyā tum ne
muñh se maiñ āh-e-sharar-bār karūñ yā na karūñ
mere dil se hai ye ik rashk-e-zuleḳhā kā savāl
misl yūsuf ke tujhe pyaar karūñ yā na karūñ
va.ada-e-vasl jo us se ba-qasam letā huuñ
dil se kahte haiñ maiñ iqrār karūñ yā na karūñ
aap kī raa.e hai kyā hazrat-e-mūsā is meñ
tuur par ḳhvāhish-e-dīdār karūñ yā na karūñ
qabr meñ shāna hilā kar vo mirā kahte haiñ
ḳhvāb-e-ġhaflat se maiñ bedār karūñ yā na karūñ
bevafā ek talab kartā hai mujh se 'fāḳhir'
dil ke dene meñ maiñ inkār karūñ yā na karūñ
KHwahish-e-sharbat-e-didar karun ya na na karun
main ilaj-e-dil-e-bimar karun ya na karun
talab-e-wasl pe israr karun ya na karun
bose le kar use bezar karun ya na karun
nale shab ko pas-e-diwar karun ya na karun
KHwab se yar ko bedar karun ya na karun
mujh se kahte hain batao to mere sar ki qasam
murgh-e-dil ko main giraftar karun ya na karun
ya ilahi mujhe is mein hai taraddud kal se
dil ye main pesh-kash-e-yar karun ya na karun
chhin kar dil mere pahlu se na le jae kahin
tark main ulfat-e-dildar karun ya na karun
ya-ilahi kahin asrar na howen is mein
tair-e-dil main giraftar karun ya na karun
saKHt mushkil mujhe darpesh hui hai kal se
aaj ishq-e-but-e-pindar karun ya na karun
niche talwar ke sabit-qadami mushkil hai
sar ke dene ka main iqrar karun ya na karun
KHauf mujh ko hai ki nazuk hai tabiat un ki
bose lene pe main israr karun ya na karun
par dil ki na kahin tir-e-nazar ho jae
aankhen us shoKH se main chaar karun ya na karun
aatish-e-hijr se dil mera jalaya tum ne
munh se main aah-e-sharar-bar karun ya na karun
mere dil se hai ye ek rashk-e-zuleKHa ka sawal
misl yusuf ke tujhe pyar karun ya na karun
wada-e-wasl jo us se ba-qasam leta hun
dil se kahte hain main iqrar karun ya na karun
aap ki rae hai kya hazrat-e-musa is mein
tur par KHwahish-e-didar karun ya na karun
qabr mein shana hila kar wo mera kahte hain
KHwab-e-ghaflat se main bedar karun ya na karun
bewafa ek talab karta hai mujh se 'faKHir'
dil ke dene mein main inkar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.